Jism is tarah, dard se bhara
Rooh ki koi bachi nahin jagah
Pyaar dhaal tha, magar nidhaal sa
Mujhe hi loot'ti, rahi meri panaah
Dheere dheere jal rahaa
Jal ke pighal rahaa
Behta chala hai dil mera..
Main hoon kya?
Mere Khuda...
Kaatun main kyun ye sazaa
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..
Dekh pyaasi hai jaan
Hai udaasi yahaan
Khaali khaali jahaan
Bemaza har samaa
Lab sookhe-sookhe
Naina bheege-bheege
Rootha-rootha sa mann
Jis tann laage aisi beqaraari
Jaane bas wohi tann
Uljha hoon kab se main, suljha..
Main hoon kya?
Mere Khuda...
Kaatun main kyun ye saza..
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..
Haar maane nahin, bewajah sa yaqeen
Yaar to hai kahin, benaseebi yahin
Kaise main bhulaaun ya main bhool jaaun
Beeta hua mera kal
Kahaan chala jaaun, jaake dhoond laaun
Pyaare apne woh pal
Tune kabhi kya ye socha
Main hoon kya?
Mere Khuda...
Kaatun main kyun yeh saza...
Piya... kaahe pehle milaaye
Jab aakhir hi judaai hai
Dil se kyun khele bataa..
If you find any errors email us at jaideepnema@hotmail.com
No comments:
Post a Comment